suno larhki
me shayad janta hun sab
tume mujhse gharz koi
na he mujh se muhabat hai
ye sab ek wehem hai mera
k jab tum pass ati ho
yun lagta hai k man he man
mujhe awaz deti ho
mujhe tum dekh k yunhi
jo nazroon ko jhukati ho
yun lagta hai k us lamhay
mujhe tum samnay pa k
naye kuch khwaab bunti ho
mujhe apna banane ki
hamesha sath rehne ki
kai kasmen uthathi ho
k ankhon ankhon me mujh se
buhut kuch kehna hai tum ne
magar kuch keh nahe pati
tum ek masoom gurhya ho
kabhi kuch keh na pao gi
yun man he man muhabat ka
me bs ek wehem samjhon ga
magar abbas b tumse
nahe kuch keh nahe sakta
tere khamosh jazboon ki
inhi masoom nazroon ki
qadar is drja us ko hai
tumharay samne a k
wo sab kuch bhool jata hai
nahe kuch keh nahe sakta
tere khamosh jazboon ki
inhi masoom nazroon ki
qadar is drja us ko hai
tumharay samne a k
wo sab kuch bhool jata hai
yun dil he dil me kehta hun
ajab sa weham hai mere
ye sab ek wehem hai mera...........
ajab sa weham hai mere
ye sab ek wehem hai mera...........
BY: Abbas Bangash
No comments:
Post a Comment